Dumpt.com
Gause aazam bamane be
saro sama madade Kibla-e-di
madade kaaba-e-ima
madade,
ALMADAD YA SHAIKH
MOHIYUDDIN ABDULKADIR
JILANI. EID-E-GAUSIA MUBARAK
HO.

Namaz Ki Hadees Namaz Ki Fazilate Namaz Ki Ehmiyat

NAMAZI KE AAGE SE
GUZARNEWALA JANTA KE US
PAR KYA GUNAH HAI TO ZAMIN
ME DHANS JAANE KO GUZARNE
SE BEHTAR JAANTA
(FATAWA-E-AALAMGIRI)
JAB BANDA NAMAZ ADA KARTA
HAI
TO USKE GUNAH USKE SAR PE
RAKH DIYE JATE HAI
JAB WO SAJDA KARTA HAI TO
GUNAH GIR JAATE HAI
(MUSNAD-E-IMAAM AHMAD)
Jo Shakhs 5Paanch Waqta
NAMAZ JAAMAT Ke Sath Ada
Kare ALLAH TA'ALA Usko 70
HAJJ Ka Sawaab Ata Karega.
[TAZKIRATUL WAEZEEN]
Jo Shaks Apne Ghar Se Wazu
Kar Ke FARZ NAMAZ Ada Karne
Ke Liye Masjid Jata Hai
To Usko HAJJ Ke Liye AHRAM
Bandhne Wale Ki Tarah
Sawab Milta Hai
(Abu Dawood)
Agar Log Jaan Le Ke Isha Aur
Fajr Ki NAMAZ Ki Kitni Fazilat
Hai
To Wo Zarur Usme Sharik Ho
Agarche Unhe Ghasit-Ghasit
Kar Aana Pade
(Bukhari)
"ALLAH ke nazdeek jaldi wo
DUA Qubul hoti he jo sajde me
kee jaye
Isliye DUA SAJDE me kiye
karo"
(Muslim)
"DAUDTE HUE NAMAZ KO
JAANA MAKROOH HAI."
(RADDUL MUHTAAR)
"JALTI HUI AAG KE
SAMNE NAMAZ PADHNA
MAKROOG HAI
LEKIN
CHARAG YA LALTEN KE SAMNE
NAMAZ PADHNE ME KOI
KARAAHAT NAHI."
(DURR-E-MUKHTAR J:1 S:438)
"JO SHAKHS 5 WAQT PAABANDI
KE SAATH NAMAZ ADA KARTA
HAI
QAYAMAT KE DIN USKI NAMAZ
USKI MUHAAFIZ AUR
NIGEHBAAN HOGI"
(SarkaR KHWAJA GARIB
NAWAZ)
"NAMAZ TARIKA-E-AMBIYA-E-
SAABEKIN HAI
NAMAZ MA'REFAT-E ILAAHI KA
NOOR HAI
NAMAZ ISLAM KI JAD HAI
FARISHTO KI MUHABBAT KA
WASILA HAI"
NAMAZ QABR KA BICHHAUNA
NAMAZ MUNKAR-NAKIR KO
QABR ME MURDE KI TARAF SE
JAWAB DEGI
NAMAZ QABR ME QAYAMAT
TAK MURDE KI MADADGAR BANI
RAHEGI
"NAMAZ ME BAGAIR UJR HATH
SE MAKKHI,MACHHAR
UDAANA MAKROOH HAI."
(FATAWA-E-AALAMGIRI JILD-1
SAFA-102)
MAS'ALA:
"NAMAZ ME TOPI GIR PADI TO
EK HATH SE UTHA KAR SAR PAR
RAKH LENA BEHTAR HAI
AUR
AGAR BAAR BAAR GIR PADTI HO
TO NA UTHANA ACHHA HAI."
SUSTI SE NANGE SAR NAMAZ
PADHNA YANI TOPI SE BOJ
MALUM HOTA HAI
YA GARMI LAGTI HAI
IS WAJAH SE TO YE MAKRUH-
E-TANJIHI HAI
(RADUL MUHTAR)
NAMAZ KO HAQEER KHYAL
KARKE NANGE SAR PADHE
JAISE NAMAZ KOI SHANDAR
CHEEZ NAHI KI TOPI KA
EHTEMAM KIYA JAYE TO YE
KUFRA HAI
(RADUL MUHTAR Jild:1
Safa:431)
MAKRUHAAT:
KAPDE YA BADAN YA DAADHI
MOOCHH SE KHELNA
SAJDE ME JAATE WAQT AAGE
YA PEECHHE SE DAMAN YA
CHADAR YA TAHBAND UTHA
LENA
KAPDA LATKAANA YAANI SAR
YA
KANDHE PAR KAPDA,CHADAR
WAGAIRAH IS TARAH DAALNA KI
DONO KINARE LATAKTE HO.
(RADUL MUKHTAR Jild-1
Safa-429)
NAMAZ KE MAKRUHAT:
KISI EK AASTIN KO AADHI
KALAEE SE ZYADA CHADHANA
DAAMAN SAMET KAR NAMAZ
PADHNA
IDHAR UDHAR MUH FER KAR
DEKHNA
(RADUL MUKHTAR)
NAMAZ KE MAKRUHAAT:
ATTAHIYYAT ME YA DONO
SAJDO KE DARMIYAN
DONO HAATHO KO RAAN PAR
RAKHNE KI BAJAAY ZAMEEN
PAR RAKH KAR BAITHANA.
[AALAMGIRI J-1,S-99]
NAMAZ KE MAKRUHAAT:
-UNGLIYA CHATKHANA
-AASMAN KI TARAF NIGAAH
UTHANA
-MARD KA SAJDE ME KALAAIYO
KO ZAMEEN PAR BICHAANA.
MAKRUHAAT:
-NAMAZ ME BILA UJR PAALTI
MAAR KAR BAITHNA
-NAMAZ ME DAAYE BAAYE
JOOMNA
-ULTA QUR'AN MAJEED
PADHNA
(DURR-E-MUKHTAR J-1,S
-429)
NAMAZ KE MAKRUHAAT:
NAMAZ ME KAMAR PAR HAATH
RAKHNA..
NAMAZ KE ILAAWA BHI KAMAR
PAR HAATH NA RAKHNA
CHAHIYE
YE TAMAM BAATE MAKRUH-e
TAHRIMI HAI
AGAR NAMAZ ME YE
MAKRUHAAT HO JAAYE
TO
USKO DOHRA LENA CHAHIYE.
(DURR-E-MUKHTAR JILD-1,
SAFA-429)
NAMAZ TOD DENE KE AA'ZAR:
(YANI KIN KIN SOORTO ME
NAMAZ TOD DENA JAIZ HAI):
-KOI DUB RAHA HO YA
-AAG SE JAL JAYEGA
YA
ANDHA KUE ME GIR PADEGA
AUR YE USKO BACHANE KI
QUDRAT RAKHTA HO
TO
US PAR WAJIB HAI KI NAMAZ
TOD KAR USKI MADAD KE LIYE
DAUD PADE
(RADDUL MUHTAR
JILD-1,SAFA-440)
IN SOORTO ME NAMAZI PAR
WAJIB HAI
KI
NAMAZ TOD KAR UN LOGO KO
BACHAE
YUHI AGAR KOI KISI KO QATL
KAR RAHA HO
&
WO FARIYAD KAR RAHA HO
SAAMP WAGAIRAH MAAR NE KE
LIYE JAB KI
KAAT LENE KA SAHI DAR HO TO
NAMAZ TOD DENA JAIZ HAI.
(DURR-E-MUKHTAR SAFA:440)
PESHAB PAAKHANA QABU SE
BAAHAR MALUM HUA
YA
APNE KAPDE PAR ITNI KAM
NAJAASAT DEKHI
JITNI NAJAASAT KE HOTE HUE
NAMAZ HO SAKTI HAI.
YA NAMAZI KO KISI AJNABI
AURAT NE CHHU DIYA
TO
IN TEENO SOORTO ME NAMAZ
TOD DENA MUSTAHAB HAI
(DURR MUKHTAR
&
RADDUL MUHTAR J-1, S-440)
APNE YA KISI KE 1 DIRHAM KE
NUQSAN KA DAR HO
JAISE DOODH UBAL JAEGA
YA
GOSHT TARKARI JAL JANE KA
DAR HO
TO
IN SOORTO ME NAMAZ TOD
DENA JAIZ HAI
ISI TARAH 1 DIRHAM KI KOI
CHEEZ CHOR LE BHAAGA..
TO NAMAZ TOD KAR USKO
PAKADNE KI IJAAZAT HAI.
(DURR-E-MUKHTAR JILD:1
SAFA:440)