Dumpt.com
Gause aazam bamane be
saro sama madade Kibla-e-di
madade kaaba-e-ima
madade,
ALMADAD YA SHAIKH
MOHIYUDDIN ABDULKADIR
JILANI. EID-E-GAUSIA MUBARAK
HO.

Friday, December 13, 2013

Munazra Challenge to tahirul qadri

Munazra Challenge to tahirul qadri
Image
Image
Najis-Ul-Padri Al-M'aroof NaamNihaad Dr
Tahir-Ul-Kadri Ko Olma-e-Ahlesunnat Ka
Challang-e-Munazira
Tahir-Ul-Kadri Yahood-O-Nasara Ka Ahl-e-
Eimaan Hona Sabit Kareinge
Aur Olma-e-AhleSunnat Unka Kufr Sabit
Kareinge
AHLESUNNAT KI TARAF SE YEH HAZRAT
TASHREEF FARMA HONGE
1> Huzoor TajushShariah Janasheen-e-
Huzoor Mufti-e-Azam Hazrat Allama Mufti
Mohummed Akhtar Raza KhanQadri Barkati
Bareily Shareef
2> Huzoor Shaikh-Ul-Islam JaNasheen-e-
Muhaddis-e-Azam hind Hazrat Allama Syed
Mohummed Madni Miya Qibla Kichhochha
Shareef
3> Huzoor Mohaddis-e-Kabeer Janasheen-e-
Huzoor Sadr-Us-Shariah Hazrat Allama Mufti
Zia-Ul-Mustafa Qadri Razvi Sb Qibla Ghosi
4> Huzoor Ameen-e-Millat JaNasheen-e-
Huzur Ahsanul Olma Hazrat Pro,, Syed
Ameen Miya Qadri Barkati Marehra Shareef
5> Hazrat Moulana Mufti Nizamuddin Saheb
Sadr Mufti Al-Jamia Ashrafia Mubarakpur
Yeh Hazraat Musalmanan-e-Ahlesunnat Ke
Muqtadiyaan-e-Izaam Wa Olma-e-Ailaam
Hain
Inmein se Jinka Munazira Aap Pasand
Kareinge Wahi Aapke Muqabil Honge,
Aur Aap Ko Ikhtiyaar Hoga ke Aap Apni
Madad Ke Liye Kisi Bhi Yahoodi Eiisaai Se
Mashwara Ke Liye Hindustan se Israaeel Aur
America Tak Se Bulwaayein Aur Khoob
Madad Lein,
Yeh Munazira Shuru Ho Kar Us waqt Tak
Jaari Rahega Jab Tak Kaamil Taur se
Ahqaaq-e-Haq Wa Abtaal-e-Baatil Na Ho Jaye
Aur Fareeqain Mein Ka Eik Fareeq Aajiz Ho
Kar Apni Shikast Ka Iqrar Likh Kar Aur Suna
Kar Apne Muqabil Ko Na De de
Agar Aap Ko Shikast hoti Hai to Aap Ko
Mohri Dastakhti Toubah Nama Apne
Muqabil ko Dekar Alal Ailaan Munazir-e-
Ahlesunnat Ki Talqeen Ke Mutabiq Islam
Lana Padega,
Har Munazir Apni Poori Taqreer Likh Kar
Layega Aur Hazireen-e-Jalsa Mein Ussi Ko
Khada Ho Kar Sunayega,
Tehreer se Eik Lafz bhi Kam Ya Ziyada Karke
Ya Badal Kar Sunane Ka Ikhtiyaar Na Hoga,
Aur Ussi Tehreer Par Apni Mohar Wa
Signature Karke Sadr-e-Munazira se
Signature Kara ke Apne Muqabil ko Dedega
Ta Ke Munazira Ki Roodaad Sath Sath
Murattab hoti Rehe,
Aur Kisi Fareeq Ko Usmein Dast Andazi Ka
Mouqa na Mile,
Chunke Is Munazire Ki Intihaa Kisi Munazir
Ke Aajiz Aa Jane Aur Apni Ghalti Ka iqrar
Likh Kar Dene Par Hogi,
Lihaza Ismein Hakam Ki Kuch Zaroorat Nahi
Aap Ki Tehreer-e-Manzoori Dastakhti Mohri
Aa Jane Ke Baad Darkhuwaast Dekar Hifz-e-
Aman Ke Liye Sheher Ki Police Bulwai Jayegi
Jo Ikhtimam-e-Munazira Tak Rahegi
Minjanib
1> Mufti Mehmood Akhtar Qadri Sb Razviya
Amjadiya Darul-Ifta Mumbai
2> Mufti Mohummed Ashraf Raza Idarah-e-
Sharaiyya Maharashtra
3> Mufti Naeem Akhtar Qadri Sunni Darul-
Uloom Mohummadiyah Mumbai
4> Mufti Syed Shakir Husain Saifi Darul
Uloom Mehboob-e-Sub'hani Mumbai
5> Mufti Manzoor Ahmed Barkati Misbahi
Jamia Qadriyah Ashrafiyah Mumbai
6> All India Sunni Jamiatul Olma Mumbai
7> Raza Academy Mumbai
8> All India Sunni Tableeghi Jamat
9> All india Jamat Raza-e-Mustafa
10 > Tanzeem Aimma-e-Masajid
11> Anjuman Barkat-e-Raza
12> Darul Uloom Hanfiyah Razvia Mumbai
— with Rizwan Ahmad Qadri Azhari, Arshad
Razvi, Syed Zafrul Hasan and Syed Asgar
Husain.
Image
Dr Tahir ul Qadri se Hindustan k Ulema e
Ahle Sunnat ke 9 (nine) Sawalaat.
Janab Dr.Tahir ul Qadri Sahib! Assalamu
A'laa Min Atba Al Huda.
Aap k Mutadad (Beshumar) Kutab aur
Khutbaat o Biyanaat sunne me aye, Jin me
Bahot si baate Aqaid e Ahle Sunat wal
Jamaat aur Quran o Hadees k Irshadaat k
Sareeh Khilaf hain,
Chonke aap tahreer o taqreer me Ahle
Sunnat wa Jamaat Aur Maslak e Ala Hazrat
ka Naam Lete hain aur apne Bayanaat se
Apna Sunni hona zahir kerte hain, Bal k
Aqeeda e Shafa'at aur Aqida Ilm e ghaib
wagaira per mustaqil kitaab bhi likh chuke
ha.
Ulema e Ahle Sunnat ap k do (2) tarfa
tahreer (double standars) o taqreer se
sakht Iztirab me hai, Bare Bana Ap k
Bunyadi Aqaid aur Dini Moqaf ko janna
chahta hain, Chonache aap se chand
sawaaat k tasalli bakhsh jawabaat matlub
hain, Umeed ha k aap un k jawabaat de ker
apne aitqaadi mokaf ki mukamal wazahat
kerenge, aur Ikhtalaf o Inteshar ka Mohol
Khatam kerna me Mua'wan hoga.
((( ULEMA E AHL E SUNNAT WA JAMAAT)
1. Aaj duniya bhar me Banaam Muslim Jitne
firqa paye jate hain, Aap k Nazdeek unke
darmayan
Aqeeda ka Ikhtalaf hai ya Sirf Farui Ikhtaf
ha?
2. Ahle Sunnat Wal Jamaat ke Ilawa jo firqa
Banaam Muslim moujood hai, un me
Qadiani, wahhabi,
deobandi aur Rafzi k Bare me Ulema e Ahle
Sunnat k jo mokaf hai,
Yani un ki Takfeer, Aap ke Nazdeek ye
moqaf Haq o Darust ha ya nahi.
3. Aap k naam se shaye Kitaab banaam
"Firqa Parasti ka Khatima Kyu ker Mumkin"
Kiya yea ap hi k
Tasneef hai aur is ke tamam mundarjaat
khususan darj zail Ibarat se kya aap Mutafiq
hain?
"'Ba hamd Allah Musalmaano k Tamam
Masaalik aur Makatab e Fikar me aqaid k
bare me koi buniyadi Ikhtalaf maujood
nahin hai, Al batta farui Ikhtalaf sirf Juziyaat
aur Tafseelat ki had tak ha, Jin ki Niyat
tabeeri aur Tashreehi hai, Is liye Tableegi
amur me buniyadi aqaid k daira ko chor ker
mahaz faruaat o juziaat me Ulajh jana aur in
ki bunyad per dusre maslak ko tanqeed o
tafseeq ka nishana banana kisi tarah
danishmandi aur qareen Insaaf nahi ha"'
(Firqa Parasti ka Khatma kyu ker mumkin ho
Page 65)
4. Jin Ulema e Haq ne Deobandi, Wahhabi,
Rafzi wagaira Batil Firqon ki Takfeer ki, Un k
Mutaliq aap ka
kya nazria ha?
5. Kya aap ke nazrya haa ke wahhabi aur
shia k peeche bhi Ahle Sunnat ki namaaz ho
jaati ha. Jesa k risala "Deed o shaneed" me
ap ke irshaad hain ke main Shia aur
Wahhabi Ulema k peeche namaz parhna sirf
pasand hi nahi kerta' " Jab bhi mauqa mile
piche namaz parhta hu"
(Risala Deed o Shaneed Page 4 to 9 APRIL
11, 1986).
6. Syed Al Ambiya Khatim Al Nabiyeen
Syedna Wa Molana Mohammadur Rasool
Allah Sallallaho Ta'ala
Alaihi Wasalam ki Nabuwat ka Munkir Kafir
ha Ya Ahl e Imaan ha? (Non- muslim,
Christian & Jews).
7. Quran Kareem me Ahad e Risalat ke
Yahood o Nasaara ko Inkaar e Nabuwat e
Mohammadi ki bina per kafir kaha gaya'
Chonache Irshaad e Rabbani hai:
Albainah Ayat 1 :
ﻟَﻢْ ﯾَﮑُﻦِ ﺍﻟَّﺬِﯾۡﻦَ ﮐَﻔَﺮُﻭۡﺍ ﻣِﻦْ ﺍَﮨۡﻞِ ﺍﻟْﮑِﺘٰﺐِ ﻭَ ﺍﻟْﻤُﺸْﺮِﮐِﯿۡﻦَ
ﻣُﻨۡﻔَﮑِّﯿۡﻦَ ﺣَﺘّٰﯽ ﺗَﺎۡﺗِﯿَﮩُﻢُ ﺍﻟْﺒَﯿِّﻨَۃُ ﴿ۙ۱ ﴾
ﮐﺘﺎﺑﯽ ﮐﺎﻓﺮ )ﻑ۲ ( ﺍﻭﺭ ﻣﺸﺮﮎ )ﻑ۳ ( ﺍﭘﻨﺎ ﺩﯾﻦ
ﭼﮭﻮﮌﻧﮯ ﮐﻮ ﻧﮧ ﺗﮭﮯ ﺟﺐ ﺗﮏ ﺍﻥ ﮐﮯ ﭘﺎﺱ ﺭﻭﺷﻦ
ﺩﻟﻞِ ﻧﮧ ﺁﺋﮯ )ﻑ۴
Kitaabi Kafir aur Mushrik Apna Deen Chorne
ko na the Jab tak un k paas Roshan Daleel
na aaye. " Ab jo Shakh in Yahood o Nisara
ko Ahle Imaan Kahe aur un ko Kuffar me
Shamil na mane wo Quran ka Munkir ha ya
Nahi???
8. Aap ne apni Taqreer me Ahl e Kitaab
Yahood o Nisaara ko Ahle Imaan (Believers)
kaha aur aage chal ker ye bhi kaha k
Yahood o Nasara kuffar me Shamil nahin
hain, Aap ka ye Qaul Quran Kareem ke Radd
aur us ka inkaar o Taqzeeb hai ya nahin?
9. Quran o Hadees aur Irshadaat e Aima'a
Kiram me kis Muqaam aur Ahde Risalat se le
kar Aj tak k Yahood o Nisaara Ahle Imaan
me Shamil maana gaya ha???
Aur ye Kis Jaga Tahreer hai Yahood o
Nisaara Kafir nahi???