Dumpt.com
Gause aazam bamane be
saro sama madade Kibla-e-di
madade kaaba-e-ima
madade,
ALMADAD YA SHAIKH
MOHIYUDDIN ABDULKADIR
JILANI. EID-E-GAUSIA MUBARAK
HO.

Thursday, July 21, 2016

KYA ZAEEF HADEES PAR AMAL KAR SAKTE HAIN?

KYA ZAEEF HADEES PAR AMAL KAR SAKTE HAIN?

Is bat me shak nahi ki Is poori Ummat ke Hidayat aur Falah ka Zariya Qur'aan Kareem hai aur Ahadees Nabwi a.s uski behtareen Tafseer aur Tashreeh hai…aur yahi dono Islam ke Buniyadi Makhaz
hain…Jahan tak Qur'aan ki bat hai to iske Sahi hone me koi Shak ki gunja'ish hi nahi….Lekin jahan tak
bat Ahadees ki hai to isme iski kai Qisme hain….

Jaise Sahi Hadees , Hasan Hadees , Zaeef Hadees aur Mozu Hadees….Mozu Hadees ko chor diya jaye
(kyonki ye bilkul bhi qabil e qubool nahi) to baqi teeno tarah ki Ahadees na sirf Qabil e Aihtram hain balki Qabil e amal bhi hain….

Lekin Badqismati se aaj baz log bari shiddat se ye bat phelane ki koshish karte hain ki Zaeef Hadees
bilkul bhi Qabil e aitmaad aur Qabil e amal nahi….Balki Amal ke layaq Sirf Sahi Ahadees hain….Ham
iska inkar nahi karte ki pehle Sahi Ahadees hi li jayengi…lekin jin umoor me Sahi Hadeesen mojood na hon wahan Zahir si bat hai ki Zaeef Hadees se hi istadlal karna parega….Isliye Zaeef Hadees ki ahmiyat ko bhi nazar andaz nahi kara ja sakta…Kyonki Deen ke kitne hi masail in Zaeef Hadeeson se hi Sabit hain…..jinpar Poori Ummat Amal kar rahi hai…

Aur ek khas firqe Naam Nihad Ahle Hadees ( Ghair Muqallideen ) ka Ahnaaf par ye ilzam bilkul ghalat
hai ki wo Sahi Hadees ke muqable me Zaeef Hadees ko tarjeeh dete hain aur Ahnaaf ke masail ki
Buniyad Zaeef Ahadees hain…..kyonki bohot si Hadeesen Sanadan Zaeef hoti hain Lekin Doosre Qarain
se inka Mazmoon Sabit hota hai…aur wo Qarain itne Mazboot hote hain ke inko kisi bhi tarah nazarandaz nahi kiya ja sakta hai

Sabse pehle Zaeef Hadees ki Tareef Jan lete hain…Ulama ne Zaeef Hadees ki Tareef kuch yoon ki hai :

ﻛﻞ ﺣﺪﻳﺚ ﻟﻢ ﻳﺠﺘﻤﻊ ﻓﻴﻪ ﺻﻔﺎﺕ ﺍﻟﺤﺪﻳﺚ ﺍﻟﺼﺤﻴﺢ ﻭﻻ ﺻﻔﺎﺕ ﺍﻟﺤﺪﻳﺚ ﺍﻟﺤﺴﻦ ﺍﻟﻤﺬﻛﻮﺭﺍﺕ ﻓﻴﻤﺎ ﺗﻘﺪﻡ ﻓﻬﻮ ﺣﺪﻳﺚ ﺿﻌﻴﻒ ) ﻣﻘﺪﻣﻪ ﺍﺑﻦ ﺻﻼﺡ 16 (

Yani Hadees Zaeef wo hai jisme na Sahi Hadees ke Shara'it jama hon aur na hi Hasan Hadees ke
Shara'it jama hon…