Dumpt.com
Gause aazam bamane be
saro sama madade Kibla-e-di
madade kaaba-e-ima
madade,
ALMADAD YA SHAIKH
MOHIYUDDIN ABDULKADIR
JILANI. EID-E-GAUSIA MUBARAK
HO.

Monday, July 18, 2016

KYA HUZOOR ﷺ KA ZIKR KARNA BHI IBADAT HAI?

💠KYA HUZOOR ﷺ KA ZIKR KARNA BHI IBADAT HAI?
💠

📖QURAN

" Aur Humne Aap ki khatir Aap ka zikr (apne zikr ke saath mila kar duniya wa aakhirat mein har jagah) buland farma diya.
[● SURAH ALAM NASHRH, AYAT 4]

📖TAFSEER IBNE KATHIR:
🔹" Hazrat Mujahid رضي الله تعالى عنه farmate hai:  Yaani Jaha mera zikr kiya jaaye waha Aap ﷺ  ka zikr kiya jaayega. Jaise " أشهدُ أنْ لا إلهَ إلاَّ الله. وأشهدُ أنَّ محمّدًا رسولُ الله"

🔹Qatadah رضي الله تعالى عنه farmate hai: Duniya aur Aakhirat mein Allah Ta'ala ne Aap ﷺ ka zikr buland kar diya. Koi khateeb koi Waiz , koi kalmago, koi Namazi aisa nahi jo Allah Ta'ala ki wahdaniyat ka aur Aap ﷺ ki risalat ka kalma na padhta ho.

🔹 Tafsire Ibne Jareer mein hai ki Huzoor ﷺ ke paas Hazrat Jibrail عليه السلام‎ aaye aur farmaya ki Mera aur Aap ﷺ ka Rab farmata hai ki Mein Aap ﷺ ka zikr kis tarah buland karu? Aap ﷺ ne farmaya :Allah Ta'ala hi behtar jaanta hai. Farmaya Jab Mein zikr kiya jaun to Aap ﷺ ka bhi zikr kiya jaayega.

📗HADITH
Hazrat Abu Saeed Khudri رضي الله تعالى عنه se marwi hai ki Huzoor Nabi e Kareem ﷺ ne farmaya: "Jibrail عليه السلام‎  mere paas aaye aur arz kiya: Mere aur Aap ﷺ ke Rab ne Aap ﷺ ke liye paigaam bheja hai ki maine Aap ﷺ ka zikr kaise buland kiya hai? Aap ﷺ ne farmaya: Allah Ta'ala hi behtar jaanta hai. Jibrail عليه السلام‎  ne arz kiya: (Allah Ta'ala farmata hai ki Aye Habeeb!ﷺ ) JAB BHI MERA ZIKR HOGA TO (HAMESHA) MERE SAATH AAP ﷺ KA BHI ZIKR HOGA."

👉�ISSE IMAM IBNE HIBAAN AUR ABU YA'ALA NE RIWAYAT KIYA HAI. ISKI ISNAAD HASAN HAI.

[● SAHIH IBNE HIBBAN, 8/175, HADITH # 3382;
● MUSNAD ABU YA'ALA, 2/522, HADITH # 1380;
● DAILMI FI MUSNAD AL FIRDOUS  4/405, HADITH # 7176;
● IBNE KATHIR FI TAFSEER AL QURAN IL AZEEM, 4/525;
● HAITHAMI FI MAJMU AZ ZAWAID, 8/254]

🔷HADITH MEIN HAI KI HAZRAT ALI رضي الله تعالى عنه KE CHEHRE KO DEKHNA IBADAT HAI AUR DUSRI HADITH MEIN HAI KI HAZRAT ALI رضي الله تعالى عنه KA ZIKR KARNA BHI IBADAT HAI.

📗HADITH:
"Hazrat Abdullah bin Masood رضي الله تعالى عنه  bayan karte hai ki Huzoor Nabi e Kareem ﷺ ne farmaya: Hazrat Ali رضي الله تعالى عنه ke chehre ko Takna (bhi) Ibadat hai."

[ ● MUSTADRAK HAKIM, JILD 3, PG 152;
  ● TABRANI FI MAUJAMIL KABEER, JILD 10, PG 76;
  ● DAILMI AN MUAAZ IBN JABAL رضي الله تعالى عنه  FI MUSNAD AL FIRDOUS, JILD 4, PG 294;
  ● HAITHAMI FI MAJMUA  AL ZAWAID, JILD 9, PG 119]

📗HADITH:
"Hazrat Aisha  رضي الله عنها se riwayat hai ki Huzoor Nabi e Kareem ﷺ ne farmaya : Ali رضي الله تعالى عنه ka zikr bhi Ibadat hai."

[ ● DAILMI FI MUSNAD AL FIRDOUS, JILD 2, PG 244]

👉�JAB MAULA ALI رضي الله تعالى عنه KA ZIKR KARNA BHI IBADAT HAI TO HAZRAT ALI رضي الله تعالى عنه KE MAULA HUZOOR NABI E KAREEM ﷺ KA ZIKR BA-DARJA E AALA IBADAT MEIN SHUMAAR HOGA.

👉�QURAN, TAFSEER AUR AHAADITH SE SABIT HUWA KI NABI ﷺ  KA ZIKR KARNA BHI IBADAT HAI.