Dumpt.com
Gause aazam bamane be
saro sama madade Kibla-e-di
madade kaaba-e-ima
madade,
ALMADAD YA SHAIKH
MOHIYUDDIN ABDULKADIR
JILANI. EID-E-GAUSIA MUBARAK
HO.

Thursday, July 21, 2016

*SHIRK KI HAQEEQAT AUR MUSALMAANO PAR SHIRK KE FATWE*

*SHIRK KI HAQEEQAT AUR MUSALMAANO PAR SHIRK KE FATWE*


Bad Qismati se Is UMMAT main, Aese Log bhi Pae Jate hain, Jin ka kaam
apne Siwa sab MUSALMAANON ko MUSHRIK AUR BIDDATI kehna aur samjhna
hai.Zulum yeh hai, k Yeh Aawaaz Masaajid aur Madaris, donon se Suni
jaati hai,Yeh Log yeh Samajhte hain k Hum Dusrun ko MUSHRIK aur
BIDDATI keh kar, TAUHEED ki Khidmat kar rahe hain.Haalankay yeh woh
log hain, Jo UMMAT-E-MUSLIMA main, Fitnah O Fasaad ka Beej Bo Rahe
hain, Inhon Ne JAAN BOOJH kar SHIRK ki Itni IQSAAM (TYPES) bana lin
hain, k In k Siwa koi Bhi Aadmi MUSALMAAN na Kehelwa sake.


MEHRABANI KARE KE IS POST KO PURA PARE, AUR APNE EMAN KO PUKHTA KARE


TAUHEED K MEANING:
ALLAH TA'ALA ki Zaat-e- paak ko uski zaat o siffaat main shareek se
Paak maanna, Yaani jesa ALLAH TA'ALA hai, wesa hum kisi ko ALLAH
TA'ALA na maanen, agar koi ALLAH TA'ALA k hote huwe, kisi dusre ko
ALLAH TA'ALA Tassawwur karta hai, to woh Zaat-e-Bari TA'ALA main Shirk
karta hai.


SHIRK kise kehte hain: -
ALLAMA Taftaazaani (Rehmatullah) apni kitaab Sharah Aqaid-e-Nasfiya h
main Shirk ki Taareef is tarah farmate hain,"Kisi ko Shareek therane
se murad yeh hai k, Majoosiyon ki tarah kisi ko Khuda aur Waajib ul
Wajood samjhajae, ya But Paraston ki tarah kisi ko ALLAH k siwa Ibadat
k laek samjha hae"SHIRK ki taareef se maaloom huwa k 2 Khudaon k
Maanne waale jese, Majoosi (AAG PARAST), mushrik hain, isi tarah ALLAH
k siwae Ibadat k laek samajhne waala Mushrik hoga.. E.g Jese

But Parast jo Buton ko Mustahik-E-ibad atsamajhte hain.SHIRK ki QISMEN
(types or Kinds):

1) SHIRK-FIL-IBADA T

2) SHIRK-FIZ-ZAAT

3) SHIRK-FIS-SIFFA AT



► 1) SHIRK-FIL-IBADAT:
Is se murad hai, k ALLAH TA'ALA k ilawa kisi aur zaat ko Ibadat k Laek
samjha jae..

► 2) SHIRK-FIZ-ZAAT:
Is se murad hai k kisi zaat ko ALLAH TA'ALA jesa maanna, jesa k
Majoosi 2 khuda ko maante the..

► 3) SHIRK-FIS-SIFFAAT:
Kisi Zaat o shakhsiyat wagera main ALLAH TA'ALA jesi Siffaat maanna
(ALLAH TA'ALA ki Ata bager), SHIRK-FIS-SIFFA AT kehlata hai.SAITAAN
SHIRK-FIS-SIFFA T ki haqeeqt ko samajhne se rokta hai, Aur Yahaan
Ummat main wiswisay peda karta hai. Ab main aap ko QURA'AN ki Aayat k
zariye SHIRK-FIS-SIFFA AT samjhata hun..


Gor se parhiya ga●●

1) * ALLAH TA'ALA RAOUF AUR RAHEEM HAI:Tarjuma:"Beshak ALLAH TA'ALA
Logon par RAOUF AUR RAHEEM hai". (Surah Bakara, Aayat 143)* SARKAR
(ALEH SALAAM) BHI RAOUF AUR RAHEEM HAIN:Tarjuma:"Beshak tumhare pas
tashreef lae, tum main se woh Rasool jin par tumhara Mushkat parna,
Giraan(bhari) hai, tumhari Bhalai k nihayat chahne waale, Mominon par
RAOUF AUR RAHEEM hain".(Surah Toba, Ayat 128, Para 10)

NOTE:
Pehli Aayat par Gor karen to sawaal peda hota hai k RAOUUF aur
RAHEEM,ALLAH TA'ALA ki Siffat hain, phir Dusri Aayat main Huzoor (Aleh
Salaam) ko RAOUFaur RAHEEM farmaya gaya, to kiya yeh SHIRK
hogaya????Is main Tatbee yun Qaem hogi, k ALLAH TA'ALA haqeeqi tor par
RAOUF aur RAHEEMhai, jab k Huzoor (Aleh Salaam), ALLAH TA'ALA ki Ata
se RAOUF aur RAHEEM hain, Lihaza jahaan Zaati aur Ataai ka Faraq
waazeh hojae, wahaan SHIRK ka Hukum nahin lagta.●●► ILM-E-GAIB, ALLAH
TA'ALA K SIWA KISI K PASS NAHIN:Tarjuma:"Tum farmao ALLAH k siwa Gaib
nahin jante, jo koi Aasmanon aur zameenon main hai".(Surah Namal,
Aayat 65, Parah 20)

* RASOOLON KO BHI ILM-E- GAIB ATA KIYA GAYA:
Tarjuma:
"Gaib ka jaanne wala, apne Gaib par sirf apne Pasandeeda RASOOLON hi
ko Aagah farmata hai, har kisi ko Yeh ILM nahin deta".(Surah JIN,
Aayat 26/27, Parah 29)

Pehli Aayat se saabit huwa k ILM-E-GAIB ALLAH TA'ALA ki Siffat hai,
magar Dusri Aayat se maaloomhuwa k ILM-E-GAIB, ALLAH TA'ALA ne apne
pasandeeda RASOO LON ko bhi Ata kiya hai, to kiya yeh SHIRK hogaya??Is
ki Tatbee yun Qaem hogi k ALLAH TA'ALA ZAATI tor par AALIM-E-GAIB hai,
jab kALLAH TA'ALA k tamaam RASOOLON ko ALLAH TA'ALA ki Ata se
ILM-E-GAIB par Aagahi haasil hai, Lihaza jahaan ZAATI aur ATAAI
kafaraq waazeh hojae, wahaanSHIRK ka hokum nahin lagta

MADADGAAR SIRF ALLAH TA'ALA HAI :"Yeh is liye ke Musalmaanon ka
madadgaar ALLAH hai"(Surah e Muhammad, Aayat 11, Parah 26)

JIBRAEL (ALEHI SALAAM) AUR AULIYA E KARAM BHI MADADGAAR HAIN:"Beshak
ALLAH un ka madadgaar hai, aur Jibrael, aur Naik Momineen madadgaar
hain".(Surah e Tehreem, Aayat 4, Parah 28) Pehli Aayat par Gor karen
to yeh Sawaal peIda hoga, ke Madad karna ALLAH TA'ALA ki siffat hai,
phir dusri Aayat main Hazrat Jibrael (Aleh Salaam) aur AUliya-E-Karam
ko madadgaar farmaya, to kiya yeh SHIRK Huwa???Is main Tatbeeq yun
Qaem hogi, k ALLAH Haqeeqi madadgaar hai, Aur Jibrael (Aleh Salaam),
aur Aliya-E-Karam, ALLAH TA'ALA ki Ata se madadgaar hain, jo
Zaat-E-Baari TA'ALA Ata farma rahi hai, us main Aur jis ko Ata kiya ja
raha hai, un Hazraat main barabri ka Tassawwur bhi nahin kiya jasakta,
aur jab barabri nahin to SHIRK kahaan se hoga???